Shakeb Jalali

gham-e-hayat ki lazzat badalti rahti hai

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
ġham-e-hayāt kī lazzat badaltī rahtī hai
ba-qadr-e-fikr shikāyat badaltī rahtī hai
harīm-e-rāz umīd-e-karam ki zauq-e-numūd
ḳhulūs-e-dost kī qīmat badaltī rahtī hai
kabhī ġhurūr kabhī be-ruḳhī kabhī nafrat
shabīh-e-josh-e-mohabbat badaltī rahtī hai
nahīñ ki terā karam mujh ko nāgavār nahīñ
ye ġham hai vaj.h-e-masarrat badaltī rahtī hai
agar fareb hasīñ ho to phir fareb nahīñ
ḳhatā muaaf haqīqat badaltī rahtī hai
Top Urdushayar.com