dard ke mausam kā kyā hogā asar anjān par
dosto paanī kabhī ruktā nahīñ Dhalvān par
aaj tak us ke ta.āqub meñ bagūle haiñ ravāñ
abr kā TukḌā kabhī barsā thā registān par
maiñ jo parbat par chaḌhā vo aur ūñchā ho gayā
āsmāñ jhuktā nazar aayā mujhe maidān par
kamre ḳhālī ho ga.e sāyoñ se āñgan bhar gayā
Dūbte sūraj kī kirneñ jab paḌīñ dālān par
ab yahāñ koī nahīñ hai kis se bāteñ kījiye
ye magar chup-chāp sī tasvīr ātish-dān par
aaj bhī shāyad koī phūloñ kā tohfa bhej de
titliyāñ mañDlā rahī haiñ kāñch ke gul-dān par
bas chale to apnī uryānī ko us se Dhāñp luuñ
niilī chādar sī tanī hai jo khule maidān par
vo ḳhamoshī uñgliyāñ chaTḳhā rahī thī ai 'shakeb'
yā ki būñdeñ baj rahī thiiñ raat raushan-dān par