havā-e-shab se na bujhte haiñ aur na jalte haiñ
kisī kī yaad ke jugnū dhuāñ ugalte haiñ
shab-e-bahār meñ mahtāb ke hasīñ saa.e
udaas pā ke hameñ aur bhī machalte haiñ
asīr-e-dām-e-junūñ haiñ hameñ rihā.ī kahāñ
ye rañg o bū ke qafas apne saath chalte haiñ
ye dil vo kārgah-e-marg-o-zīst hai ki jahāñ
sitāre Dūbte haiñ, āftāb Dhalte haiñ
ḳhud apnī aag se shāyad gudāz ho jaa.eñ
parā.ī aag se kab sañg-dil pighalte haiñ