Shakeb Jalali

jab tak gham-e-jahan ke hawale hue nahin

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
jab tak ġham-e-jahāñ ke havāle hue nahīñ
ham zindagī ke jānñe vaale hue nahīñ
kahtā hai āftāb zarā dekhnā ki ham
Duube the gahrī raat meñ kaale hue nahīñ
chalte ho siina taan ke dhartī pe kis liye
tum āsmāñ to sar pe sambhāle hue nahīñ
anmol vo guhar haiñ jahāñ kī nigāh meñ
dariyā kī jo tahoñ se nikāle hue nahīñ
tai kī hai ham ne sūrat-e-mahtāb rāh-e-shab
tūl-e-safar se paañv meñ chhāle hue nahīñ
Das leñ to un ke zahr kā āsān hai utaar
ye saañp āstīn ke paale hue nahīñ
teshe kā kaam resha-e-gul se liyā 'shakeb'
ham se pahāḌ kāTne vaale hue nahīñ
Top Urdushayar.com