rañg laayā mirā be-barg-o-navā ho jaanā
itnā āsān na thā us kā ḳhudā ho jaanā
kaun āvāz baras ban ke rahā mahmil-e-nāz
kis kī qismat meñ hai sahrā kī sadā ho jaanā
hashr tak be-gunahī naaz karegī mujh par
vo mirā terī nigāhoñ meñ burā ho jaanā
mujh pe vo vaqt paḌā hai ki shikāyat kaisī
tujh ko lāzim thā ba-har-hāl ḳhafā ho jaanā
merī taqdīr pe tohmat hī uThā.ī jaatī
tujh ko zebā na thā yuuñ ḳhud se judā ho jaanā
aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jāñ tere huzūr
sar se pā tak vo mirā dast-e-duā ho jaanā
'shāz' kaañp uTThe mire tark-e-mohabbat ke qadam
vo kisī pursish-e-pinhāñ kā balā ho jaanā