Shakeb Jalali

KHizan ke chand ne puchha ye jhuk ke khiDki mein

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
ḳhizāñ ke chāñd ne pūchhā ye jhuk ke khiḌkī meñ
kabhī charāġh bhī jaltā hai is havelī meñ
ye aadmī haiñ ki saa.e haiñ ādamiyyat ke
guzar huā hai mirā kis ujaaḌ bastī meñ
jhukī chaTān phisaltī giraft jhūltā jism
maiñ ab girā hī girā tañg-o-tār ghāTī meñ
zamāne bhar se nirālī hai aap kī mantiq
nadī ko paar kiyā kis ne ulTī kashtī meñ
jalā.e kyuuñ agar itne hī qīmtī the ḳhutūt
kuredte ho abas raakh ab añgeThī meñ
ajab nahīñ jo ugeñ yaañ daraḳht paanī ke
ki ashk bo.e haiñ shab bhar kisī ne dhartī meñ
mirī giraft meñ aa kar nikal ga.ī titlī
paroñ ke rañg magar rah ga.e haiñ muTThī meñ
chaloge saath mire āgahī kī sarhad tak
ye rahguzār utartī hai gahre paanī meñ
maiñ apnī be-ḳhabarī se 'shakeb' vāqif huuñ
batāo pech haiñ kitne tumhārī pagḌī meñ
Top Urdushayar.com