ham-jins agar mile na koī āsmān par
behtar hai ḳhaak Dāliye aisī uḌaan par
aa kar girā thā koī parinda lahū meñ tar
tasvīr apnī chhoḌ gayā hai chaTān par
pūchho samundaroñ se kabhī ḳhaak kā pata
dekho havā kā naqsh kabhī bādbān par
yaaro maiñ is nazar kī bulandī ko kyā karūñ
saaya bhī apnā dekhtā huuñ āsmān par
kitne hī zaḳhm haiñ mire ik zaḳhm meñ chhupe
kitne hī tiir aane lage ik nishān par
jal-thal huī tamām zamīñ ās-pās kī
paanī kī buuñd bhī na girī sā.ebān par
malbūs ḳhush-numā haiñ magar jism khokhle
chhilke saje hoñ jaise phaloñ kī dukān par
saaya nahīñ thā niiñd kā āñkhoñ meñ duur tak
bikhre the raushnī ke nagīñ āsmān par
haq baat aa ke ruk sī ga.ī thī kabhī 'shakeb'
chhāle paḌe hue haiñ abhī tak zabān par