mauj-e-ġham is liye shāyad nahīñ guzrī sar se
maiñ jo Duubā to na ubharūñgā kabhī sāgar se
aur duniyā se bhalā.ī kā sila kyā miltā
aa.ina maiñ ne dikhāyā thā ki patthar barse
kitnī gum-sum mire āñgan se sabā guzrī hai
ik sharar bhī na uḌā ruuh kī ḳhākistar se
pyaar kī jot se ghar ghar hai charāġhāñ varna
ek bhī sham.a na raushan ho havā ke Dar se
uḌte bādal ke ta.āqub meñ phiroge kab tak
dard kī dhuup meñ niklā nahīñ karte ghar se
kitnī ra.anā.iyāñ ābād haiñ mere dil meñ
ik ḳharāba nazar aatā hai magar bāhar se
vādī-e-ḳhvāb meñ us gul kā guzar kyuuñ na huā
raat bhar aatī rahī jis kī mahak bistar se
tān-e-aġhyār suneñ aap ḳhamoshī se 'shakeb'
ḳhud palaT jaatī hai Takrā ke sadā patthar se