Shakeb Jalali

is but-kade mein tu jo hasin-tar laga mujhe

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
is but-kade meñ tū jo hasīñ-tar lagā mujhe
apne hī ik ḳhayāl kā paikar lagā mujhe
jab tak rahī jigar meñ lahū kī zarā sī buuñd
muTThī meñ apnī band samundar lagā mujhe
murjhā gayā jo dil meñ ujāle kā surḳh phuul
tāroñ bharā ye khet bhī banjar lagā mujhe
ab ye batā ki ruuh ke sho.ale kā kyā hai rañg
marmar kā ye libās to sundar lagā mujhe
kyā jāniye ki itnī udāsī thī raat kyuuñ
mahtāb apnī qabr kā patthar lagā mujhe
āñkhoñ ko band kar ke baḌī raushnī milī
maddham thā jo bhī naqsh ujāgar lagā mujhe
ye kyā ki dil ke diip kī lau hī tarāsh lī
sūraj agar hai kirnoñ kī jhālar lagā mujhe
sadiyoñ meñ tai huā thā bayābāñ kā rāsta
gulshan ko lauTte hue pal bhar lagā mujhe
maiñ ne use sharīk-e-safar kar liyā 'shakeb'
apnī tarah se chāñd jo be-ghar lagā mujhe
Top Urdushayar.com