Shakeb Jalali

murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
murjhā ke kaalī jhiil meñ girte hue bhī dekh
sūraj huuñ merā rañg magar din-Dhale bhī dekh
kāġhaz kī katranoñ ko bhī kahte haiñ log phuul
rañgoñ kā e'tibār hī kyā sūñgh ke bhī dekh
har chand raakh ho ke bikharnā hai raah meñ
jalte hue paroñ se uḌā huuñ mujhe bhī dekh
dushman hai raat phir bhī hai din se milī huī
sub.hoñ ke darmiyān haiñ jo fāsle bhī dekh
aalam meñ jis kī dhuum thī us shāhkār par
dīmak ne jo likhe kabhī vo tabsire bhī dekh
tū ne kahā na thā ki maiñ kashtī pe bojh huuñ
āñkhoñ ko ab na Dhāñp mujhe Dūbte bhī dekh
us kī shikast ho na kahīñ terī bhī shikast
ye aa.ina jo TuuT gayā hai ise bhī dekh
tū hī barhana-pā nahīñ is jaltī ret par
talvoñ meñ jo havā ke haiñ vo aable bhī dekh
bichhtī thiiñ jis kī raah meñ phūloñ kī chādareñ
ab us kī ḳhaak ghaas ke pairoñ-tale bhī dekh
kyā shāḳh-e-bā-samar hai jo taktā hai farsh ko
nazreñ uThā 'shakeb' kabhī sāmne bhī dekh
Top Urdushayar.com