vahāñ kī raushniyoñ ne bhī zulm Dhaa.e bahut
maiñ us galī meñ akelā thā aur saa.e bahut
kisī ke sar pe kabhī TuuT kar girā hī nahīñ
is āsmāñ ne havā meñ qadam jamā.e bahut
na jaane rut kā tasarruf thā yā nazar kā fareb
kalī vahī thī magar rañg jhilmilā.e bahut
havā kā ruḳh hī achānak badal gayā varna
mahak ke qāfile sahrā kī samt aa.e bahut
ye kā.enāt hai merī hī ḳhaak kā zarra
maiñ apne dasht se guzrā to bhed paa.e bahut
jo motiyoñ kī talab ne kabhī udaas kiyā
to ham bhī raah se kañkar sameT laa.e bahut
bas ek raat Thaharnā hai kyā gila kiije
musāfiroñ ko ġhanīmat hai ye sarā.e bahut
jamī rahegī nigāhoñ pe tīrgī din bhar
ki raat ḳhvāb meñ taare utar ke aa.e bahut
'shakeb' kaisī uḌaan ab vo par hī TuuT ga.e
ki zer-e-dām jab aa.e the phaḌphaḌā.e bahut