ḳhvāb-e-gul-rañg ke anjām pe ronā aayā
āmad-e-sub.h-e-shab-e-andām pe ronā aayā
dil kā mafhūm ishāroñ se ujāgar na huā
be-kasī-e-gila-e-ḳhām pe ronā aayā
kabhī ulfat sī jhalaktī hai kabhī nafrat sī
ai ta.alluq tire ib.hām pe ronā aayā
mirī ḳhushiyāñ kabhī jis naam se vābasta thiiñ
jaane kyuuñ aaj usī naam pe ronā aayā
le ke ubhregī sahar phir vahī pazhmurda kiran
kyā kahūñ tīrgi-e-shām pe ronā aayā
be-sabab apnī nigāhoñ se girā jaatā huuñ
is fusūñ-kārī-e-ilzām pe ronā aayā
itne arzāñ to nahīñ the mire ashkoñ ke guhar
aaj kyuuñ talḳhī-e-ālām pe ronā aayā
lāyaq-e-husn-e-nazar the na kabhī un ke ḳhutūt
aaj mahrūmī-e-paiġhām pe ronā aayā
ab bhī manzil mire qadmoñ kī tamannā.ī hai
kyā kahūñ hasrat-e-yak-gām pe ronā aayā
rone vaalā to karegā na kisī kā shikva
laakh kahiye ġham-e-ayyām pe ronā aayā
un ke shub.hāt meñ kuchh aur izāfa thā 'shakeb'
ashk-e-sāda ke is in.aam pe ronā aayā