parda-e-shab kī oT meñ zohra-jamāl kho ga.e
dil kā kañval bujhā to shahr tīra-o-tār ho ga.e
ek hameñ hī ai sahar niiñd na aa.ī raat bhar
zānū-e-shab pe rakh ke sar saare charāġh so ga.e
raah meñ the babūl bhī rūd-e-sharar bhī dhuul bhī
jaanā hameñ zarūr thā gul ke tavāf ko ga.e
dīda-varo batā.eñ kyā tum ko yaqīñ na aa.egā
chehre the jin ke chāñd se siine meñ daaġh bo ga.e
dāġh-e-shikast dosto dekho kise nasīb ho
baiThe hue haiñ tez-rau sust-ḳhirām to ga.e
ahl-e-junūñ ke dil 'shakeb' narm the mom kī tarah
tesha-e-yās jab chalā tūda-e-sañg ho ga.e