kyā qayāmat hai ki ik shaḳhs kā ho bhī na sakūñ
zindagī kaun sī daulat hai ki kho bhī na sakūñ
ghar se niklūñ to bhare shahr ke hañgāme haiñ
maiñ vo majbūr tirī yaad meñ ro bhī na sakūñ
din ke pahlū se lagā rahtā hai andesha-e-shām
sub.h ke ḳhauf se niiñd aa.e to so bhī na sakūñ
ḳhatm hotā hī nahīñ silsila-e-mauj-e-sarāb
paar utar bhī na sakūñ naav Dubo bhī na sakūñ
'shāz' ma.alūm huā ijz-bayānī kyā hai
dil meñ vo aag hai lafzoñ meñ samo bhī na sakūñ