soz-e-duā se sāz-e-asar kaun le gayā
ik sañg-e-dar se nisbat-e-sar kaun le gayā
har shai hai nā-tamām ye ehsās kyuuñ hai aaj
har aib se javāz-e-hunar kaun le gayā
kis ne mirī nigāh se parde uThā diye
ik rañj-e-āgahī ki idhar kaun le gayā
arsa huā ke paañv ke nīche zamīñ nahīñ
vo naqsh-e-pā vo rāhguzar kaun le gayā
mere safīne mere lahū meñ nahā ga.e
mere sarāb ke vo bhañvar kaun le gayā
tāḳhīr-e-vaqt-e-dīd tirī barhamī kā Dar
kitnā hasīn Dar thā vo Dar kaun le gayā
hairāñ hai aql 'shāz' ki vahshat kidhar ga.ī
bastī udaas hai ki khañDar kaun le gayā