Baqar Mehdi

koi harf-e-nafi na kaam aaya

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
koī harf-e-nafī na kaam aayā
kitnī sachchī thī dostī apnī
Thokareñ khā kar ke suraḳh-rū Thahrā
ik duā hai ye zindagī apnī
ab kahāñ hai koī harīf apnā
ḳhuub Dartī hai be-kasī apnī
kaise tārīḳh ko bhulā Dālūñ
ḳhuuñ meñ Duubī hai ye sadī apnī
kuchh na khātā huuñ kuchh na piitā huuñ
bhūkī sotī hai muflisī apnī
ḳhālī botal takā hī kartī hai
kitnī pyāsī hai mai-kashī apnī
shāyad apnā ḳhudā tarāsh liyā
ab kahāñ hai vo bandagī apnī
shāyad 'iqbāl' se Darī hogī
pahle sarshār thī ḳhudī apnī
saare alfāz saath chhoḌ ga.e
saada kāġhaz hai shā.irī apnī
kārvāñ chhoḌ ke vo aayā hai
ik musāfir hai rahbarī apnī
Top Urdushayar.com