uThiye ki phir ye mauqā hāthoñ se jā rahegā
ye kārvāñ hai āḳhir kab tak rukā rahegā
zaḳhmoñ ko ashk-e-ḳhūñ se sairāb kar rahā huuñ
ab aur bhī tumhārā chehra khilā rahegā
band-e-qabā kā khulnā mushkil bahut hai lekin
jo khul gayā to phir ye uqda khulā rahegā
sargarmī-e-havā ko dekhā hai paas dil ke
is aag se ye jañgal kab tak bachā rahegā
khultī nahīñ hai yā rab kyuuñ niiñd raftagāñ kī
kyā hashr tak ye aalam soyā paḌā rahegā
yaksar hamāre baazū shal ho ga.e haiñ yā-rab
āḳhir darāz kab tak dast-e-duā rahegā