Shaz Tamkanat

yahi safar ki tamanna yahi thakan ki pukar

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
yahī safar kī tamannā yahī thakan kī pukār
khaḌe hue haiñ bahut duur tak ghane ashjār
nahīñ ye fikr ki sar phoḌne kahāñ jaa.eñ
bahut buland hai apne vajūd kī dīvār
darāz-qad ba-adā-e-ḳhirām kyā kahnā
tamām ahl-e-jahāñ ke liye hai dars-e-vaqār
ye daur vo hai ki sab nīm-jāñ nazar aa.e
ki raqs meñ hai anāḌī ke haath meñ talvār
badaltī rut hai rag-e-sabza meñ numū kam kam
kalī kalī pe tirā naam likh rahī hai bahār
shikasta but haiñ jabīñ zaḳhm zaḳhm but-gar kī
sirhāne tesha ke larzīda hai koī jhankār
dikhā.ī de to vo bas ḳhvāb meñ dikhā.ī de
mirā ye haal ki maiñ muddatoñ se huuñ bedār
vo log jo tujhe har roz dekhte hoñge
unheñ ḳhabar nahīñ kyā shai hai hasrat-e-dīdār
ze-farq-tā-ba-qadam rūp-rañg kī jhankār
tamām mehr-o-mohabbat tamām bos-o-kanār
tarah tarah se koī naam 'shāz' likhtā thā
hatheliyoñ pe hinā.ī hurūf the gul-kār
Top Urdushayar.com