pheñkte sañg-e-sadā dariyā-e-vīrānī meñ ham
phir ubharte dā.era-dar-dā.era paanī meñ ham
ik zarā yūñhī basar kar leñ girāñ-jānī meñ ham
phir tumheñ shām-o-sahar rakkheñge hairānī meñ ham
ik havā āḳhir uḌā hī le ga.ī gard-e-vajūd
sochiye kyā ḳhaak the us kī nigahbānī meñ ham
vo to kahiye dil kī kaifiyyat hī ā.īna na thī
varna kyā kyā dekhte is ghar kī vīrānī meñ ham
mahv-e-hairat the ki be-mausam nadī pāyāb thī
bas khaḌe dekhā kiye utre nahīñ paanī meñ ham
us se milnā aur bichhaḌnā der tak phir sochnā
kitnī dushvārī ke saath aa.e the āsānī meñ ham