savād-e-shām na rañg-e-sahar ko dekhte haiñ
bas ik sitāra-e-vahshat-asar ko dekhte haiñ
kisī ke aane kī jis se ḳhabar bhī aatī nahīñ
na jaane kab se usī rahguzar ko dekhte haiñ
ḳhudā-gavāh ki ā.īna-e-nafas hī meñ ham
ḳhud apnī zindagī-e-muḳhtasar ko dekhte haiñ
to kyā bas ek Thikānā vahī hai duniyā meñ
vo dar nahīñ to kisī aur dar ko dekhte haiñ
sunā hai shahr kā naqsha badal gayā 'mahfūz'
to chal ke ham bhī zarā apne ghar ko dekhte haiñ