Ahmad Mahfuz

sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe

Ahmad Mahfuz

Jhunsi, Uttar pradesh, India

1966
sar-ba-sar paikar-e-iz.hār meñ laatā hai mujhe
aur phir ḳhud hī tah-e-ḳhāk chhupātā hai mujhe
kab se suntā huuñ vahī ek sadā-e-ḳhāmosh
koī to hai jo bulandī se bulātā hai mujhe
raat āñkhoñ meñ mirī gard-e-siyah Daal ke vo
farsh-e-be-ḳhvābī-e-vahshat pe sulātā hai mujhe
gum-shuda maiñ huuñ to har samt bhī gum hai mujh meñ
dekhtā huuñ vo kidhar DhūñDne jaatā hai mujhe
dīdanī hai ye tavajjoh bhī ba-andāz-e-sitam
umr bhar shīsha-e-ḳhālī se pilātā hai mujhe
hama-andesha-e-girdāb ba-pahlū-e-nashāt
mauj-dar-mauj hī sāhil nazar aatā hai mujhe
Top Urdushayar.com