zaḳhm khānā hī jab muqaddar ho
phir koī phuul ho ki patthar ho
maiñ huuñ ḳhvāb-e-girāñ ke narġhe meñ
raat guzre to ma.arka sar ho
phir ġhanīmoñ se be-ḳhabar hai sipāh
phir aqab se numūd lashkar ho
kyā ajab hai ki ḳhud hī maarā jā.ūñ
aur ilzām bhī mire sar ho
haiñ zamīñ par jo gard-bād se ham
ye bhī shāyad falak kā chakkar ho
us ko tābīr ham kareñ kis se
vo jo hadd-e-bayāñ se bāhar ho
dekhnā hī jo shart Thahrī hai
phir to āñkhoñ meñ koī manzar ho