aayā hī nahīñ koī bojh apnā uThāne ko
kab tak maiñ chhupā rakhtā is ḳhvāb-ḳhazāne ko
dekhā nahīñ ruḳh karte jis tarf zamāne ko
jī chāhtā hai akasr us samt hī jaane ko
ye shaġhl-e-zabānī bhī be-sarfa nahīñ āḳhir
sau baat banātā huuñ ik baat banāne ko
is kunj-e-tabī.at kī mumkin hai havā badle
jhoñkā koī aa jaa.e patte hī uḌāne ko
raazī na huā maiñ bhī mānūs manāzir par
tayyār na thā vo bhī kuchh aur dikhāne ko
jaisā ki samajhte ho vaisā to nahīñ kuchh bhī
ye saarā tamāshā hai ik vahm miTāne ko