kuchh ajab aan se logoñ meñ rahā karte the
ham ḳhafā ho ke bhī aapas meñ milā karte the
itnī tahzīb-e-rah-o-rasm to baaqī thī ki vo
laakh ranjish sahī va.ada to vafā karte the
us ne pūchhā thā ka.ī baar magar kyā kahte
ham mizājan hī pareshān rahā karte the
ḳhatm thā ham pe mohabbat kā tamāshā goyā
ruuh aur jism ko har roz judā karte the
ek chup-chāp lagan sī thī tire baare meñ
log aa aa ke sunāte the sunā karte the
terī sūrat se ḳhudā se bhī shanāsā.ī thī
kaise kaise tire milne kī duā karte the
us ko ham-rāh liye aate the merī ḳhātir
mere ġham-ḳhvār mire haq meñ burā karte the
zindagī ham se tire naaz uThā.e na ga.e
saañs lene kī faqat rasm adā karte the
ham baras paḌte the 'shāz' apnī hī tanhā.ī par
abr kī tarah kisī dar se uThā karte the