udhar se aa.e to phir lauT kar nahīñ ga.e ham
pukārtī rahī duniyā magar nahīñ ga.e ham
agarche ḳhaak hamārī bahut huī pāmāl
ba-rañg-e-naqsh-e-kaf-e-pā ubhar nahīñ ga.e ham
husūl kuchh na huā juz ġhubār-e-hairānī
kahāñ kahāñ tirī āvāz par nahīñ ga.e ham
manā rahe the vahāñ log jashn-e-be-ḳhvābī
yahāñ the ḳhvāb bahut so udhar nahīñ ga.e ham
chaḌhā huā thā vo dariyā agar hamāre liye
to dekhte hī rahe kyuuñ utar nahīñ ga.e ham