raqs-e-sharar kyā ab ke vahshat-nāk huā
jalte jalte sab kuchh jal kar ḳhaak huā
sab ko apnī apnī paḌī thī pūchhte kyā
kaun vahāñ bach niklā kaun halāk huā
mausam-e-gul se fasl-e-ḳhizāñ kī duurī kyā
aañkh jhapakte saarā qissa paak huā
kin rañgoñ is sūrat kī tābīr karūñ
ḳhvāb-nadī meñ ik shola pairāk huā
nādāñ ko ā.īna hī ayyār kare
ḳhud meñ ho kar vo kaisā chālāk huā
tārīkī ke raat azaab hī kyā kam the
din niklā to sūraj bhī saffāk huā
dil kī āñkheñ khol ke raah chalo 'mahfūz'
dekho kyā kyā aalam zer-e-ḳhāk huā