maiñ band āñkhoñ se kab talak ye ġhubār dekhūñ
koī to manzar siyāh dariyā ke paar dekhūñ
kabhī vo aalam ki us taraf aañkh hī na uTThe
kabhī ye hālat ki us ko dīvāna-vār dekhūñ
ye kaisā ḳhuuñ hai ki bah rahā hai na jam rahā hai
ye rañg dekhūñ ki dil jigar kā fishār dekhūñ
ye saarī be-manzarī savād-e-sukūt se hai
sadā vo chamke to dhund ke ār-pār dekhūñ
tire sivā bhī hazār manzar haiñ dekhne ko
tujhe na dekhūñ to kyuuñ tirā intizār dekhūñ