ab is makāñ meñ nayā koī dar nahīñ karnā
ye kaam sahl bahut hai magar nahīñ karnā
zarā hī der meñ kyā jaane kyā ho raat kā rañg
so ab qayām sar-e-rahguzar nahīñ karnā
bayāñ to kar duuñ haqīqat us ek raat kī sab
pa shart ye hai kisī ko ḳhabar nahīñ karnā
rafūgarī ko ye mausam hai sāzgār bahut
hameñ junūñ ko abhī jāma-dar nahīñ karnā
ḳhabar hai garm kisī qāfile ke luTne kī
ye vāqi.a hai to sair o safar nahīñ karnā