nahīñ āsmāñ tirī chaal meñ nahīñ ā.ūñgā
maiñ palaT ke ab kisī haal meñ nahīñ ā.ūñgā
mirī ibtidā mirī intihā kahīñ aur hai
maiñ shumāra-e-mah-o-sāl meñ nahīñ ā.ūñgā
abhī ik azaab se hai safar ik azaab tak
abhī rañg-e-shām-e-zavāl meñ nahīñ ā.ūñgā
vahī hālateñ vahī sūrateñ haiñ nigāh meñ
kisī aur sūrat-e-hāl meñ nahīñ ā.ūñgā
mujhe qaid karne kī zahmateñ na uThā.iye
nahīñ ā.ūñgā kisī jaal meñ nahīñ ā.ūñgā
maiñ ḳhayāl-o-ḳhvāb hisār se bhī nikal chukā
so kisī ke ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ nahīñ ā.ūñgā
na ho bad-gumāñ mirī dād-ḳhvāhi-e-hijr se
mirī jaañ maiñ shauq-e-visāl meñ nahīñ ā.ūñgā