Ahmad Mahfuz

kisi ka aks-e-badan tha na wo sharara tha

Ahmad Mahfuz

Jhunsi, Uttar pradesh, India

1966
kisī kā aks-e-badan thā na vo sharāra thā
to maiñ ne ḳhema-e-shab se kise pukārā thā
kahāñ kisī ko thī fursat fuzūl bātoñ kī
tamām raat vahāñ zikr bas tumhārā thā
makāñ meñ kyā koī vahshī havā dar aa.ī thī
tamām pairahan-e-ḳhvāb paara paara thā
usī ko bār-e-digar dekhnā nahīñ thā mujhe
maiñ lauT aayā ki manzar vahī dobāra thā
subuk-sarī ne girānī ajiib kī dil par
hai ab ye bojh ki vo bojh kyuuñ utārā thā
shab-e-siyāh safar ye bhī rā.egāñ to nahīñ
vo kyā huā jo mire saath ik sitāra thā
Top Urdushayar.com