badan-sarāb na dariyā-e-jāñ se miltā hai
to phir ye ḳhvāb-kināra kahāñ se miltā hai
ye dhuup chhāñv salāmat rahe ki terā surāġh
hameñ to sāya-e-abr-e-ravāñ se miltā hai
ham ahl-e-dard jahāñ bhī haiñ silsila sab kā
tumhāre shahr ke āshuftagāñ se miltā hai
jahāñ se kuchh na mile to bhī fā.ede haiñ bahut
hameñ ye naqd usī āstāñ se miltā hai
fazā hī saarī huī surḳh-rū to hairat kyā
ki aaj rañg-e-havā gul-ruḳhāñ se miltā hai
bichhaḌ ke ḳhaak hue ham to kyā zarā dekho
ġhubār jā ke usī kārvāñ se miltā hai