koī to aa ke rulā de ki hañs rahā huuñ maiñ
bahut dinoñ se ḳhushī ko taras rahā huuñ maiñ
sahar kī os meñ bhīgā huā badan terā
vo aañch hai ki chaman meñ jhulas rahā huuñ maiñ
qadam qadam pe bikhartā chalā huuñ sahrā meñ
sadā kī tarah makīn-e-jaras rahā huuñ maiñ
koī ye kah de mirī aarzū ke motī se
sadaf sadaf kī qasam hai baras rahā huuñ maiñ
hayāt-e-ishq mujhe aaj ajnabī na samajh
ki saaya saaya tire pesh-o-pas rahā huuñ maiñ
nafas kī āmad-o-shud bhī hai sānehe kī tarah
gavāh rah ki tirā ham-nafas rahā huuñ maiñ
jahāñ bhī nuur milā khil uThā shafaq kī tarah
jahāñ bhī aag milī ḳhār-o-ḳhas rahā huuñ maiñ