Anjum Azmi

meri duniya mein abhi raqs-e-sharar hota hai

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
merī duniyā meñ abhī raqs-e-sharar hotā hai
jo bhī hotā hai ba-andāz-e-digar hotā hai
bhuul jaate haiñ tire chāhne vaale tujh ko
is qadar saḳht ye hastī kā safar hotā hai
ab na vo josh-e-vafā hai na vo andāz-e-talab
ab bhī lekin tire kūche se guzar hotā hai
dil meñ armān the kyā ahd-e-bahārāñ ke liye
chāk-e-gul dekh ke ab chāk-e-jigar hotā hai
ham to hañste bhī haiñ jī jaan se jaane ke liye
tum jo rote ho to aañsū bhī guhar hotā hai
saiñkaḌoñ zaḳhm use milte haiñ is duniyā se
koī dil terā talabgār agar hotā hai
qāfila luTtā hai jis vaqt sar-e-rāhguzar
us ghaḌī qāfila-sālār kidhar hotā hai
'anjum'-e-soḳhta-jāñ ko hai ḳhushī kī ummīd
raat meñ jaise kabhī rañg-e-sahar hotā hai
Top Urdushayar.com