Anjum Azmi

ek sauda hai lazzat-e-gham hai

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
ek saudā hai lazzat-e-ġham hai
aaj phir merī aañkh pur-nam hai
dil ko bahlā rahe haiñ muddat se
zindagī kyā azaab se kam hai
zarra zarra udaas hai us kā
mere ghar kā ajiib aalam hai
mehr-o-mah par kamand paḌtī hai
soch meñ koī ibn-e-ādam hai
tujh se parda nahīñ mire ġham kā
tū mirī zindagī kā mahram hai
ye jo ik e.atibār hai tum par
kis qadar pā.edār-o-muhkam hai
kal to duniyā badal hī jā.egī
aaj un kā ye jaur-e-paiham hai
dil na ka.aba hai ne kalīsā hai
terā ghar hai harīm-e-mariyam hai
Top Urdushayar.com