Anjum Azmi

wada hai ki jab roz-e-jaza aaega

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
va.ada hai ki jab roz-e-jazā aa.egā
tū apne hī jalvoñ meñ ghirā aa.egā
tā-hashr yūñhī muntazir-e-dīd rahūñ
chupke se kabhī aa ke batā, aa.egā
maiñ nāma-e-a.amāl khulā rakkhūñgā
rahmat ko tirī josh sivā aa.egā
hasrat-e-gah-e-ālam meñ tamannā kā qadam
illā kī taraf sūrat-e-lā aa.egā
ḳhālī bhī to kar ḳhāna-e-dil duniyā se
is ghar meñ mirī jaan ḳhudā aa.egā
dariyā meñ bahut lahr haiñ ḳhvābīda abhī
jāgeñgī to tūfān baḌā aa.egā
mahfil meñ sabhī dost nahīñ aate haiñ
dushman bhī koī dost-numā aa.egā
ab taab na lā.ūñgā ye andesha hai
manzar jo koī hosh-rubā aa.egā
niklo bhī kabhī sūd-o-ziyāñ se varna
kūche meñ tire kaun bhalā aa.egā
Top Urdushayar.com