Anjum Azmi

jo shab bhar aansuon se tar rahega

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
jo shab bhar āñ.suoñ se tar rahegā
sahar dam dāman-e-dil bhar rahegā
ilaaj us kā guzar jaanā hai jaañ se
guzar jaane kā jaañ se Dar rahegā
huā mushkil tire āshiq kā jiinā
tire kūche meñ aa kar mar rahegā
dil-e-vahshī ne kab ārām paayā
sitam kī aag meñ jal kar rahegā
hayāt-e-jāvedāñ ho yā ki duniyā
tirā banda tire dar par rahegā
na ho isyāñ to kaisā hashr kā din
kahāñ phir dāvar-e-mahshar rahegā
haqā.eq se jo dil uljhā huā hai
vahī ḳhvāboñ kā sūrat-gar rahegā
koī to ḳhair kā pahlū bhī nikle
akelā kis tarah ye shar rahegā
na bazm-e-mai-kada baaqī rahegī
na dast-e-shauq meñ sāġhar rahegā
jo din hai aane vaalā be-amāñ hai
qadam ghar se agar bāhar rahegā
koī to āzmī-sāhib ko samjhāo
ye gosha shahr se behtar rahegā
Top Urdushayar.com