fareb ġham hī sahī dil ne aarzū kar lī
burā hī kyā hai agar terī justujū kar lī
ġhalat hai jazba-e-dil par nahīñ koī ilzām
ḳhushī milī na hameñ jab to ġham kī ḳhū kar lī
biThā ke sāmne tum ko bahār meñ pī hai
tumhāre riñd ne tauba bhī rū-ba-rū kar lī
vafā ke naam se Dartā huuñ ai shah-e-ḳhūbāñ
tum aa.e bhī to nazar jānib subū kar lī
kahāñ se ā.eñge andāz be-panāhī ke
abhī se jeb-e-tamannā agar rafū kar lī
zamāna de na sakā fursat-e-junūñ 'anjum'
bahut huā to ghaḌī bhar ko hā-o-hū kar lī