ālam-e-vahshat-e-tanhā.ī hai kuchh aur nahīñ
sar pe ik gumbad-e-mīnā.ī hai kuchh aur nahīñ
kyuuñ huā mujh ko ināyat kī nazar kā saudā
aaj rusvā.ī hī rusvā.ī hai kuchh aur nahīñ
apnā ghar phūñk chukā apnā vatan chhoḌ chukā
ye faqat bādiya-paimā.ī hai kuchh aur nahīñ
ho sake to koī fardā kī banā lo tasvīr
vaqt jalvoñ kā tamannā.ī hai kuchh aur nahīñ
aao ḳhush ho ke piyo kuchh na kaho vaa.iz ko
mai-kade meñ vo tamāshā.ī hai kuchh aur nahīñ