ham se kyā ḳhaak ke zarroñ hī se pūchhā hotā
zindagī ek tamāshā hai to dekhā hotā
dekhte gar hamīñ aalam ko ba-andāz-e-digar
aur hī dasht-e-junūñ meñ dil-e-rusvā hotā
kyā kiyā ahl-e-mohabbat ne magar tere liye
ham ne ik sahn-e-chaman aur bhī DhūñDā hotā
tum bhī hote mai-o-naġhma bhī dil-e-shaidā bhī
aur aise meñ agar abr barastā hotā
hans ke ik jaam pilātā koī dīvāne ko
pyaar to hotā magar kaahe ko saudā hotā
tazkire hote rahe chaak garebānoñ ke
haañ tirī bazm-e-tarab meñ koī aisā hotā
tishna-lab kaun hai go jaam na aayā ham tak
daur ik aur chalā ḳhūn-e-jigar kyā hotā
ḳhaak ne kitne bad-atvār kiye haiñ paidā
ye na hote to usī ḳhaak se kyā kyā hotā
is se milnā hī ġhazab ho gayā varna 'anjum'
dar-ba-dar phirne kā jhagḌā bhī na uTThā hotā