hisār-e-shahr milā dasht kā maza na milā
junūñ ke daur meñ bhī koī mashġhala na milā
ab us gulāb ne kāñTe kī ik chubhan bhī na dī
milā zarūr vo mujh se magar ḳhafā na milā
na tere qad kī koī bahr-e-ḳhush-ḳhirām milī
ġhazal kā zikr hī kyā koī qāfiya na milā
jo bas chale to vo simTā le har numū-e-badan
hayā se apnī koī yuuñ thakā huā na milā
bhañvar kī chīḳh bulātī rahī magar ai 'shāz'
añdherī raat thī maujoñ kā naqsh-e-pā na milā