Shaz Tamkanat

main lauT aaun kahin tu ye sochta hi na ho

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
maiñ lauT aa.uuñ kahīñ tū ye sochtā hī na ho
ki raat der ga.e terā dar khulā hī na ho
nahīñ ki ziist se kuchh vāsta paḌā hī na ho
maiñ kaise mānūñ tirā dil kabhī dukhā hī na ho
talāsh kar use dīvār-o-dar ke chehroñ meñ
ajab nahīñ tirī mahfil se vo uThā hī na ho
ik e'timād-e-vafā hai ki jī rahā huuñ maiñ
ki mere haal kā shāyad use pata hī na ho
ye rāsta to usī dar pe jā ke ruktā thā
ki vo ḳhafā hai to ye rāsta muḌā hī na ho
maiñ yūñhī us se ḳhafā huuñ magar mujhe Dar hai
manāne vaalā haqīqat meñ ḳhud ḳhafā hī na ho
mujhe to tujh pe ḳhud apnā gumāñ guzartā hai
tirā thakā huā lahja mirī duā hī na ho
gunāh aur hasīñ, ahrman ke bas meñ nahīñ
sitam-zarīf koī banda-e-ḳhudā hī na ho
maiñ sochtā huuñ ki āp-apnī dushmanī kyā hai
mirā vajūd mirī zaat se judā hī na ho
baḌe-baḌoñ ke nasheb-o-farāz dekhe haiñ
koī mile to sahī jis kā sar jhukā hī na ho
na jaane kitne haiñ sayyārgān-e-nā-dīda
tū intihā jise kahtā hai ibtidā hī na ho
vo laakh ġham sahī aisā nahīñ ye duniyā hai
ki 'shāz' us se bichhaḌ kar kabhī hañsā hī na ho
Top Urdushayar.com