Meer Soz

apne nale mein gar asar hota

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
apne naale meñ gar asar hotā
qatra-e-ashk bhī guhar hotā
jin ke naame kī hai pahuñch tujh tak
kaash maiñ un kā nāma-bar hotā
dil na detā jo maiñ tujhe zālim
kyuuñ mirī jaan kā zarar hotā
phir na kartā sitam kisī pe agar
haal se mere bā-ḳhabar hotā
ḳhūn-e-ushshāq karte kyuuñ nāhaq
gar butoñ ko ḳhudā kā Dar hotā
kaam aatā maiñ ek din pyāre
rabt mujh se tujhe agar hotā
khīñchtī fauj-e-ḳhat jo husn pe teġh
siina merā hī vaañ sipar hotā
'soz' ko shauq kaabe jaane kā
hai bahut par zyāda-tar hotā
shaiḳh mānind tere us ke paas
bār-bardārī ko jo ḳhar hotā
Top Urdushayar.com