nāseho dil kis kane hai kis ko samjhāte ho tum
kyuuñ divāne ho ga.e ho jaan kyuuñ khāte ho tum
mujh se kahte ho ki maiñ hargiz nahīñ piitā sharāb
maiñ tumhārā dost yā dushman ki sharmāte ho tum
aur jo baiThe raheñ to un se tum mahzūz ho
jab hamīñ aate haiñ to ghabrā ke uTh jaate ho tum
lo jī ab ārām se baiThe raho jaate haiñ ham
phir na āveñge kabhī kaahe ko jhunjhlāte ho tum
raat ko tum jis jagah the ham ko sab mālūm hai
jhuuT kyuuñ bakte ho kaahe ko qasam khāte ho tum
muñh banā merī taraf ā.īne kā bosa liyā
vaah vā achchhī tarah se roz Dahkāte ho tum
ek to maiñ aap huuñ be-zār apnī jaan se
dūsre bak bak ke mere jī ko ghabrāte ho tum
ai kabūtar ai sabā ai naala ai fariyād aaj
kahiyo dilbar se agar kūche talak jaate ho tum
'soz' kā dil ḳhush to ho jaatā hai vādoñ se miyāñ
par ġhazab ye hai ki vaqt hī par mukar jaate ho tum