Meer Soz

mohabbat munh pe karna aur dil mein bewafai hai

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
mohabbat muñh pe karnā aur dil meñ bevafā.ī hai
ye ā.īna yahāñ kahtā hai kaisī āshnā.ī hai
bhalā bosa ham us se aaj māñgeñge kisī Dhab se
tavaqqo to nahīñ lekin ye taal.e āzmā.ī hai
muhibboñ ko kareñ haiñ qatl dushman ko jalāte haiñ
butoñ kī bhī miyāñ sāhib nirālī hī ḳhudā.ī hai
ajā.ib rasm hai un dilbarān-e-dahr kī yā rab
kisī ke saath jā sonā kahīñ saa.ī badhā.ī hai
ye āshiq apne apne ashk ko tūfān kahte haiñ
jo sach pūchho to ye gañgā hamārī hī khudā.ī hai
ilāhī kyā banegī saath mere shaiḳh-o-vā.iz ko
idhar rindī sharābī hai udhar ko pārsā.ī hai
nahīñ ye abr-o-bārāñ 'soz' ke ahvāl ko sun kar
falak kī bhī mohabbat se ye ab chhātī bhar aa.ī hai
Top Urdushayar.com