Meer Soz

agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
agar maiñ jāntā hai ishq meñ dhaḌkā judā.ī kā
to jiite jī na letā naam hargiz āshnā.ī kā
jo āshiq saaf haiñ dil se unhīñ ko qatl karte haiñ
baḌā charchā hai māshūqoñ meñ āshiq-āzmā.ī kā
karūñ ik pal meñ barham kār-ḳhāne ko mohabbat ke
agar aalam meñ shohra duuñ tumhārī bevafā.ī kā
jafā yā mehr jo chāhe so kar le apne bandoñ par
mujhe ḳhatra nahīñ hargiz burā.ī yā bhalā.ī kā
na pahuñchā āh-o-nāla gosh tak us ke kabhū apnā
bayāñ ham kyā kareñ taal.e kī apne nā-rasā.ī kā
ḳhudāyā kis ke ham bande kahāveñ saḳht mushkil hai
rakhe hai har sanam is dahr meñ daavā ḳhudā.ī kā
ḳhudā kī bandagī kā 'soz' hai daavā to ḳhilqat ko
vale dekhā jise banda hai apnī ḳhud-numā.ī kā
Top Urdushayar.com