Meer Soz

hamein kaun puchhe hai sahibo na sawal mein na jawab mein

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
hameñ kaun pūchhe hai sāhibo na savāl meñ na javāb meñ
na to koī aadmī jaane hai na hisāb meñ na kitāb meñ
na to ilm apne meñ hai yahāñ ki ḳhudā ne bhejā hai kis liye
isī ko jo kahte haiñ zindagī so to jism ke hai azaab meñ
yahī shakl hai jise dekho ho yahī vaz.a hai jise ghūro ho
jise jaan kahte haiñ aadmī use dekhā ālam-e-ḳhvāb meñ
maiñ ḳhilāf tum se nahīñ kahā ise maano yā ki na maano tum
maiñ ne apnī āñkhoñ se dekhā maiñ ki milā huuñ us kī janāb meñ
na sunoge 'soz' kī guftugū jo phiroge DhūñDne kū-ba-kū
ye nasha hai us ke bayān meñ ki nahīñ nasha hai sharāb meñ
Top Urdushayar.com