Meer Soz

tera humne jis ko talabgar dekha

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
tirā ham ne jis ko talabgār dekhā
use apnī hastī se be-zār dekhā
adā hī kī hasrat meñ sab mar ga.e sach
tajallī ko kis ne ba-takrār dekhā
tirī aañkh bhar jis ne tasvīr dekhī
vo tasvīr sā naqsh-e-dīvār dekhā
ajab kuchh zamāne kī hai rasm yaaro
jo hai kaam kā us ko bekār dekhā
va-lekin achambhā baḌā mujh ko ye hai
ki Tuk 'soz' kā garm bāzār dekhā
Top Urdushayar.com