Shaz Tamkanat

jin zaKHmon par tha naz hamein wo zaKHm bhi bharte jate hain

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
jin zaḳhmoñ par thā naaz hameñ vo zaḳhm bhī bharte jaate haiñ
sāñseñ haiñ ki ghaTtī jaatī haiñ din haiñ ki guzarte jaate haiñ
dīvār hai gum-sum dar tanhā phir hote chale haiñ shajar tanhā
kuchh dhuup sī Dhaltī jaatī hai kuchh saa.e utarte jaate haiñ
ham yūñhī nahīñ haiñ sust-qadam ham jānte haiñ fardā kyā hai
shāyad koī de āvāz hameñ rah rah ke Thaharte jaate haiñ
āvāz vo shīsha-e-nāzuk hai mehrāb-e-nazar meñ rahne de
kyuuñ farsh samā.at par gir kar reze ye bikharte jaate haiñ
ro.eñ yā hañseñ is hālat par ehsās ye hotā hai aksar
va.ada to kisī se 'shāz' na thā ham haiñ ki mukarte jaate haiñ
Top Urdushayar.com