ġhamza-e-chashm sharmsār kahāñ
sar to hāzir hai teġh-e-yār kahāñ
gul bhī kartā hai chaak apnā jaib
par garebāñ sā taar taar kahāñ
ho ġhazāloñ ko us se ham-chashmī
tīkhī chitvan kahāñ ḳhumār kahāñ
andalīboñ ne gul ko gher liyā
ek jevḌā kahāñ hazār kahāñ
ek din ek shaḳhs ne pūchhā
miir sāhab tumhārā yaar kahāñ
maiñ ne us se kahā ki sun bhaa.ī
ab mujhe us talak hai baar kahāñ
gāh-gāhe salām kartā hai
par vo bāteñ kahāñ vo pyaar kahāñ
zindagī tak sitam to sah le 'soz'
phir to ye zulm baar baar kahāñ