Meer Soz

ushshaq tere sab the par zar tha so main tha

Meer Soz

Delhi, India

1721-1798
ushshāq tere sab the par zaar thā so maiñ thā
jag ke ḳharāba andar ik ḳhvār thā so maiñ thā
dāḳhil shahīdoñ meñ to lohū lagā ke sab the
shamshīr-e-nāz se pur-afgār thā so maiñ thā
sumbul ke pech meñ dil tere na thā kisī kā
nargis kā ek terī bīmār thā so maiñ thā
tujh ghar meñ arz-e-matlab kis kī na thā zabāñ par
dar par jo tere naqsh-e-dīvār thā so maiñ thā
dāġh-e-mohabbat ai gul jab thā tirā na jag meñ
dāġhoñ se jis kā siina gulzār thā so maiñ thā
go ishq ke tumhāre ushshāq ab muqir haiñ
avval zabāñ pe jis kī iqrār thā so maiñ thā
tujh ishq meñ nasīhat sab yaar mānte the
nāseh ke par suḳhan se be-zār thā so maiñ thā
is mai-kade meñ gaahe ai 'soz' ham na bahke
sab mast o be-ḳhabar the hushyār thā so maiñ thā
Top Urdushayar.com